Showing posts with label ghazal. Show all posts
Showing posts with label ghazal. Show all posts

Friday, December 31, 2010

karoge yaad to

karoge yaad to har baat yaad aayegi
gujarte waqt ki har mauj tahar jayegi
karoge yaad to

ye chaand beete jamaano ka aaina hoga
bhatakate abar mein chehara koee bana hoga
udaas raah koee daasta sunayegi
karoge yaad to

barashta bheegta mausam dhua dhua hoga
pighalti shammo pe girta mere gumaa hoga
hatheliyo ki heena yaad kuch dilaayegi
karoge yaad to

gali ke mod pe suna sa koi darwaza
tarashti aankhon se rasta kisi ka dekhgega
nigaah duur talaq ja ke laut aayegi

karoge yaad to har baat yaad aayegi
gujarte waqt ki har mauj tahar jayegi
karoge yaad to

Sunday, December 26, 2010

andaaz-e-ghalib

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar  aur  jeete  rehte   yahee   intezaar  hota

tere  waade par jiye ham  to ye jaan jhoot jana
ke  khushee se  mar na jaate  agar eitabaar hota

koi mere  dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee  chaarasaaz  hota,   koee  GHamgusaar  hota

rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe  ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq    gar   na   hota,    GHam-e-rozgaar    hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe   kya   bura   tha   marna ?  agar  ek   baar  hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na  kabhee janaaza  uThata, na  kaheeN  mazaar hota

usse  kauN  dekh  sakta  ki yagaana  hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye   masaail-e-tasawwuf,  ye  tera bayaaN  'GHalib'!
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota

Sunday, December 19, 2010

ghalib ke andaaz

Yeh chamanzaar, yeh jamuna ka kinara, yeh mahal
Yeh munaqqash dar-o-dewaar, yeh mehraab yeh taaq
ek shahenshah ne daulat ka sahara lekar
hum garibon ki mohabbat ka udaya hai mazaak
meri mehboob meri mehboob,
meri mehboob kahin aur mila kar mujhse

Wednesday, April 7, 2010

bahut din ji liya maine

mohabbat tark ki maine garebaan si liya maine
zamaane ab to khush ho zahar ye bhi pi liya maine

abhi zinda hu lekin sochata rahata hu khalvat me
ki ab tak kis tamannaa ke sahare ji liya maine

unhe apna nahi sakta magar itana bhi kya kam hai
ki kuch muddat hasin khavaabo me kho kar ji liya maine

bas ab to daaman-e-dil chod do bekaar ummiido
bahut dukh sah liye maine bahut din ji liya maine