Showing posts with label ashaar. Show all posts
Showing posts with label ashaar. Show all posts

Wednesday, September 12, 2012

haqeeqat-e-ishq

Tum Haqeeqat-e-Ishq ho, ya fareb meri ankhon ka..
Na DiL se nikalte ho, na Zindagi main aate ho .

Wednesday, April 7, 2010

bahut din ji liya maine

mohabbat tark ki maine garebaan si liya maine
zamaane ab to khush ho zahar ye bhi pi liya maine

abhi zinda hu lekin sochata rahata hu khalvat me
ki ab tak kis tamannaa ke sahare ji liya maine

unhe apna nahi sakta magar itana bhi kya kam hai
ki kuch muddat hasin khavaabo me kho kar ji liya maine

bas ab to daaman-e-dil chod do bekaar ummiido
bahut dukh sah liye maine bahut din ji liya maine