Sunday, December 26, 2010

andaaz-e-ghalib

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar  aur  jeete  rehte   yahee   intezaar  hota

tere  waade par jiye ham  to ye jaan jhoot jana
ke  khushee se  mar na jaate  agar eitabaar hota

koi mere  dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee  chaarasaaz  hota,   koee  GHamgusaar  hota

rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe  ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq    gar   na   hota,    GHam-e-rozgaar    hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe   kya   bura   tha   marna ?  agar  ek   baar  hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na  kabhee janaaza  uThata, na  kaheeN  mazaar hota

usse  kauN  dekh  sakta  ki yagaana  hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye   masaail-e-tasawwuf,  ye  tera bayaaN  'GHalib'!
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota